Get it on Google Play
Download on the App Store

Rakhi aur Preet ki kahani

""Ye mohabbat tuze paane ki Koi raah nahi aur tu sirf usse milati hai jise teri parawah nahi""....

Shaam ka vakta tha. Saare panchhi apane ghar ki aur ja rahe the,din bhar aag jaise jalane wala sooraj bhi dhal chuka tha,aur woh nila aasmaan ;uss ne toh kesari rang ki jaise chaddar otha li thi...Aise mousam mein mere kadam mere ghar ki taraf jaa rahe the...par achanak se dil ka irada badal gaya aur mere kadam uss badese, Vishal ,kabhi shant toh kabhi bhayanak samandar ki aur badhane lage.

Aage kya..mann__mera mann aise Khush hua ki jaise chota bachha khilona dekh Khush hota hai..mera pagal mann itana Khush hua ke Mann hi mann uchhalane laga.. aakhir kaar pohach gayi samandar kinare par.woh shanti se behanewali lehare,woh mast hawa aur mera pagal mann bass kitana hi baki sab Khali tha. Phir dur tak ek najar daali koi nahi tha waha pe;phir ek najar daali lekin tabhi koi dikha mujhe laga jaise meri hi tarah koi pagal hai.Dil ne kaha ke jaa mille usse aur mein mili bhi;aur uss ke paas jake usse aawaj di kaha kon...kon ho tum???usse palat ke dekha tab mujhe yehasas hua ki kuch toh hai iss ke mann mein...

Pure dil se maine usse pchha, what are you doing here???aur pure 5-6minute ke baad uss ne reply kiya kaha,"samandar se puchh raha hun ki pyar such hota hai Kya aur hota hai toh milata kyun nahi??" Ye sunn ke main itani has padi ke  uss prem diwane ne ko hosh aaya aur ussne muzse puchha,"sorry main ne kuch galat kaha kya?"maine kaha nahi dost tuze dost ki jaroorat hai na toh Chalo sunao apani daasta mujhe Khali pili iss samandar ko mat sata mujhe bata.Im miss. Mitawa aapaki nayi dost.

Uss ne shuruvaat ki,"mera naam Preeti hai.main Mumbai se hun. Mere mom and dad are expired in my childhood ?. Tab se khud ke dam pe sab kiya aur ek mukaam hasil kiya. Main bohot Khush tha apani jindagi mein...aur ussi khushi mein rakhi ne  apane sunere kadam rakhe bohot Khush the hum dono.

Meri rakhi ekdam pyaari si thi.bachapan se jis pyar ke liye taras raha that woh rakhi ke roop mein mila mujhe;lekin sayad khuda ko ye manjoor na tha! Ek saal pehale issi din issi jagah par  rakhi mujhe milane bulaya tha,uss din uska janam din tha. Main uss keliye gift lekar waha pohach gaya rakhi mere pehale hi waha pohach chuki thi main bhagate huye waha pohacha aur kaha , sorry thoda late hua;lekin rakhi ne fine keh ke mujhe baitane liye kaha main baitha.usse gift diya uss ne muskurake gift liya aur kaha Preet mujhe kuch kehana hai. Maine ha bola..lagta hai yahi maine galat kiya, rakhi boli" Preet muze ye baat tumhe pehale hi batani chahiye thi lekin"..... Maine kaha konsi baat aur lekin kya jaldi bolo na.. rakhi bolane lagi,"yahi baat ke mujhe brain tumor hai aur I'm on my last stage".............. Ye sunn ke maine usse ek jor ki laga di aur kaha, Are you mad?kuch bhi majak mat kar yaar. Mujhe bich mein rokate huye rakhi boli it's true ????.Uss ke baad 2mahine tak maine rakhi ki saari wishes puri karani chahi aur saari wishes Puri ki bhi basssssss ek.. ek wish puri na kar paya woh thi hamari shadi.kynn ki aaj se thik 4 mahine baad woh kala din aa gaya..subhe uthakar main rakhi se milane nikal hi raha tha toh uss ki maa ka call aaya maa ne kaha Preet jaldi aa jao yaha pe rakhi..rakhi hum sab ko chod ke chali gayi hai........Mere pero tale ki jamin sarak gayi mein bhagata ki waha pohacha dekha toh Meri pyaari si rakhi shant so rahi thi woh bhi hamesha keliye.. uss ke paas jake ke main rone laga uss se kaha dhokebaaj chali gayi na mujhe akela chhod ke..... mujhe pata tha woh kabhi nahi uthegi...

Aur aaj uss ka Janam din hai yaad aa rahi thi toh yaha chala aaya... mitawa aapako pata hai usse ye jagah bohot pasand thi;aaj bhi woh mere saath hai mere dil main....."

Preet ki kahani sunane ke baad laga shayad yahi Pyaar hai jo marane ke baad bhi nahi marata.. Salute hai yese pyaar ko..........

                                           #MITAWA

 

Love story by #mitawa

#mitawa
Chapters
Rakhi aur Preet ki kahani Ek diwane ki kahani....